ek din
jab tum rona chaho
mujhe awaaz dena
main vaada nahi karta
ki main tumhe hasa dunga
agr main tumhe apne sath na
hasa saka
to tumhare sath ro to sakta
hu
ek din ....
jab tumhara mann sab kuch
chhod kar
kahin duur bhag jane ka ho
mujhe awaaz dena
main vaada to nahi karta
ki main tumse keh sakunga --
"ruko"
lekin main tumhare saath
bhag to sakta hu
ek din ....
jab tumhara mann kisi se bhi
baat karne ka na ho
mujhe awaaz dena
main vaada karta hu
ki tumhare paas jaroor
aaunga dabbe paanv
aa kar chupchap baitha
rahunga tumhara hath apne
hath mei le kar
ek din ....
jab tumhara mann bazar se
khareedna chahe kuch khushi
par tumhare paas utne paise
na ho
mann mat maarna
mujhe awaaz dena
main aaunga aur kahunga
pagal main abhi hu
aur jab tak main hu tujhe
uddas hone ka haq nahi hai
meri shirt mein jo jeib hai
tumhari hai
ek din ....
jab jaroorat padne par
tum mujhe awaz doge
aur utar nahi paaoge
ek din har baar ki tarah
tumhari awaaz mujh tak
pohnchegi
lekin main nahi aaunga
uss din tum hi jaldi se chale
aana
jaan jana main ab nahi raha
ek din ..
Monday, 20 March 2017
Ek Din
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment