Thursday, 20 April 2017

Badnami ka Khitab

meri kismat k likhe me unka naam na tha...
dard ko sahna mere liye itna aam na tha...

mujhe kisi k ishq ne badnami ka khitab baksha hai...
warna mai is tarah shahar me badnam na tha....

kisi k diye dard ko kagaz pe utar leta hu...
warna ye shayri likhna mera kaam na tha...

sab puchhte hai teri barbadi me haath kiska tha...
mai apni jaan ko karta badnaam itna namk hram na tha....

tujhe bhulane k liye maikhane me bhi gya tha sanam...
magar jo tera nasha bhula deta aisa kisi k paas jaam na tha...

tere baad bhi kitno ne mere dil me ghar karna chaha magar...
tamaam umar tujhe apne dil me rakhne ka wada bhul jata mai, teri tarah beimaan na tha....

No comments:

Post a Comment