Kya tumhe malum hai main kitna udas rehta hu..
Janti ho bin tumhare har lamha kaise sehta hu
Rota hu raat din tumhari yaad mein main
Magar rone ki vajah kisi se na kehta hu
Janti ho mere dil me ab bhi wo pyar baki h....
Tum laut kar aaogi aakhri sans tak ye intzar baki hai
Gamo ki dhoop me tumhari julfo ka saya talash karta hu
Main ek pal me tumhare bina n jane kitni dafa marta hu
Tumne mujhse kiya tha vada ki tum mere sath rahogi hum lar ane wali misibat ko milkar sahogi
Lakin jub musibaten aai to tumne majboorion ka hawala dekar humse haath chhuda liya
Main yaha sub se akela ladta raha or waha tumne kisi or ko apna liya
Magar afsos m tumhare jhoot pe oro ke sach se jayada aitbar karta hu
Main kal bhi tujhi pe marat tha main aaj bhi sirf tujhi se pyar karta hu
Tumhar is kadar se chhod jana mujhe bada rulata hai tumhare sang gujra eo jamana bada yaad ata hai
Kabhi main tumhare dil me dhadkan ki tarah basta tha
Tumhare liye hi rota tumhare liye hi hasta tha
Ek yeh bhi waqt hai jub tumhari surat tak naseeb nahi hoti hai meri aankh tumhari yaad me har waqk roti hai
Kabhi lautkar tum meri khata bata dena
Agar ho sake to is aashiq ko fir se apna bana lena
Main apni rooh tak ko tumhare naam kar chuka hu
Tumhare liye main khud ko mohbbat k bazar me nilam kar chuka hu
Monday, 22 May 2017
Kya tumhe malum hai......
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment