Main maanta hoon main kangaal tha
Main maanta hoon mera bura haal tha
Main maanta hoon ki main ik loser hoon
Aur tere freedom ke beech mein ek wall tha
Main maanta hoon ke hazaaron lakhon baar
Shayad tu mere kaaran royi hai
Main maanta hoon sab barbaad ho raha tha
Aur main ekdum laachaar tha
Main maanta hoon ki main insecure hoon
Aur tere doston ko lekar pareshan tha
Main maanta hoon main chillaata tha
Aur hamesha ladne ko taiyaar tha
Main maanta hoon har waqt shikayton ka
Mere paas ek bhot bada bhandaar tha
Par Bhagwan jaanta hai beta
Tere ko lekar sirf aur sirf bhot pyaar tha
Ye hone ka bhi shayd koi kaaran hi hoga
Is mein bhi shayad unki koi marzi hai
Kyunki na toh mere chahne se tu aayi thi baby
Aur tu na mere chahne se gayi hai
Shayad yeh sab sirf ek attraction tha
Shayd maine hi thi ye sab stories pakayi
Shayad you never love me
Teri saari problems hamesha meri thi
Aur life kuch bhi ni tha baby tujhse bada
Koi bhi nahi tha mere saath khada
Himmat se tune bhi ni kabhi mera haath pakda
Aur main khush hoon
That I gave my best
Aur jo ban paya woh maine sab kiya
But afsos tujhe kuch bhi yaad nahi
Aur ye sab kuch beta ji Aap ko kam pada
You know aajtak himmat bhi nahi juta paaya hoon
Main tere photos tak delete karne ki
Gusse mein pehle fenk deta hoon
For dhoond-dhoond ke le aata hoon
Tune jo ring di thi
Chup chup ke dusro ke phones se abhi tak
Main tere Whatsapp ke pics check karta hoon
Hoping, kabhi toh tune ye likha hoga,
That I really really miss my baby
Kitne sweet huye karte the na
Aadhe aadhe ghante ke hum dono ke breakup
Fir kaisi roti huyi shaklein bana kar karte the na
Ek dusre ko apni pics Whatsapp
Haan maine bola tha, chali ja
Jaanta tha lamba nahi chalne wala yeh naatak
Par pata nahi tha iss baar tu lotegi nahi
Teri life mein koi aur aa chuka hai na baby ab?
Dus din mein tu kisi aur ke saath mein thi
Itni bhi tujhe kya jaldi thi
Mujhe sudhrne ka, mujhe sambhalane ka
At Least meri jaan ek moka toh deti
Main bhi ek weak insaan hi hoon baba
Ho gayi yaar mujhse galti
Ek confusion tha woh sort ho jaata
Lekin ye karne ki tujhe kya jaroorat thi
Bhot jalad main dekhna tujhe bhula doonga
Aur meri life koi aur ladki aayegi
Main duniya ki usse saari khushiyan dunga
Aur wohi hogi meri sabse pehli priority
Tujhe kya lagta tha haan
Main zindagi bhar tujhe lekar rota rahunga,
Oh fuck! I’m wrong
main jaanta hoon teri jagah koi nahi le payegi
No comments:
Post a Comment